******ghazal******
Phool tujhsa koi khila na sake
tijhko hargiz kabhi bhula na sake
ham tere simt badhte jaate hain
do qadam tum bhi yaar aa na sake
mujhko chodo yunhi tadapne do
shola e dil ko tum bujha na sake
kya mujhe saath liye jaaoge
bojh apna bhi to utha na sake
bedhadak aati main teri khatir
neend lekin zara uda na sake
main barasti rahi sada tujh par
aur tum the kabhi naha na sake
yun to 'zeenat' aji tarasti rahi
geet ulfat ka tum bhi gaa na sake
kamla singh zeenat
No comments:
Post a Comment