HaaN wahi ( nazm )
================
HaaN wahi sayebaan hai mera
mere dil me wahi dhadakta hai
usse ulfat hai beshumaar mujhe
uske jaisa koi nahi duja
har taraf uska hi jalwa jalwa
meri saanson me uski khushbu hai
har taraf har jagah wahi qaayem
chaand suraj bhi feeke lagte hain
uske aage koi nahi ab tak
wo akela hai noor jaisa hai
uska jalwa hai zarre zarre me
baadshaahi usi ko aati hai
sare aalam ka shahanshaahh hai wo
main use chaahti hun shaam o sahar
mera sajda usi ke waaste hai
usse rishta hamara pakka hai
bas wahi aik aik sachchaa hai
mere lab pe wahi duaa hai bas
mera waahid wahi khuda hai bas
Kamla Singh zeenat
================
HaaN wahi sayebaan hai mera
mere dil me wahi dhadakta hai
usse ulfat hai beshumaar mujhe
uske jaisa koi nahi duja
har taraf uska hi jalwa jalwa
meri saanson me uski khushbu hai
har taraf har jagah wahi qaayem
chaand suraj bhi feeke lagte hain
uske aage koi nahi ab tak
wo akela hai noor jaisa hai
uska jalwa hai zarre zarre me
baadshaahi usi ko aati hai
sare aalam ka shahanshaahh hai wo
main use chaahti hun shaam o sahar
mera sajda usi ke waaste hai
usse rishta hamara pakka hai
bas wahi aik aik sachchaa hai
mere lab pe wahi duaa hai bas
mera waahid wahi khuda hai bas
Kamla Singh zeenat
No comments:
Post a Comment