$$$GHAZAL$$$$
Bawla hote hai sab had se nikalne wale
jal ke mar jate hain suraj ko nigalne wale
tan ko rakhte hain qarine se saja kar kuchch log
saanp ho jate hain kenchul ko badalne wale
dene wale ka karam hota hai jab bandon par
chatpata jate hain yeh dekh ke jalne wale
thonkro se wahi bach pate hain rahi sun lo
thokren kha ke bhi jo honge sambhalne wale
dil me rahte hain to khushbu ki tarah rahte hai
log kuchch hote hain ehsaan pe palne wale
aap zeenat ki karo fikr na aye sahib ji
ham to bas hote hain har haal me dhalne wale
Kamla Singh zeenat
No comments:
Post a Comment