Saturday, 8 February 2014

Wahiiiiiiii
¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤¤
Wajood mera
Mere hone ki 
Daliil wahi
Main pyaasi 
Jis ja phirun
Banta hai sabeel wahi
Wahi hai mera khuda
Mera rahnuma Maula
Wahi hai dariya 
Samundar
To mithi jheel wahi
Zamana tu kya karega
Raham ka bhikaari
Tumhare pass to
Ek saans bhi lena
Mushkil
Nahi hai 
data siwa rab ke
Puuri duniya mein
Main jaanti hun
Mujhe fakhr hai
Rahhmaani par
Main jaanti hun
Mujhe fakhr hai
Sultaani par
Main jaanti hun
Wo khaliq hai
Aur maalik hai
Main jaanti hun
Nahi uske muqabil koi
Wo aasmaan ka malik
Wahi zamiN wala
Wahi 
parindon ka khalik
Wahi
Charindon ka shaah
Hawaa chale to
Wahi zero jabar
Karta hai
Usi ke dam pe zamana
Udaaan bharta hai
Jalaal uska 
Qudurat pe hai
Jaliil wahi
Wajood mera
Mere hone ki
Daliil wahi

Kamla Singh zeenat.

No comments:

Post a Comment