बेचैन बादलों को देखा
बेचैन। ………। बहुत बेचैन
बरसने को बेताब
और मैं ………
मैं देखती रही …
देखती रही बरसती बूंदों को
याद आया मुझे
वो रात
वही रात जब तुम
घर के बाहर रात भर ….
सारी रात
सारी रात भीगते रहे
पूछते हो क्यों ?
क्या याद नहीं ?
मुझसे इकरार की उम्मीद में
तुम भीगते रहे
बीमार भी हो गए
पर नहीं गए वहां से
और मैं। ……………
मैं हार गयी
तुम्हारे जिद के आगे
बड़े भुलक्कड़ हो
खैर। …… अरी
क्यों सोचती हूँ तुमको
बारिश आई और चली भी गयी बरस कर
पर अब तक नहीं गयी ………………।
नहीं गयी तुम.…
और तुम्हारी यादें
जो अक्सर चली आती हैं
अपने यादों की अर्थी लेकर
मेरे ज़ेहन में
और मुझे बेचैन कर चली जाती हैं
बरस कर
उन बेचैन बादलों के साथ
फिर से वापस आकर बरसने के लिए
जो अक्सर मेरे पास आया करती हैं
तन्हाईयों में.………………
-------------------कमला सिंह ज़ीनत
bechain baadlon ko dekha
bechain ........ bahut bechain
barsane ko betaab
aur main .............
mai dekhti rahi ....
dekhti rahi barsati bundon ko
yaad aayaa mujhe
wo raat
wahi raat jab tum
ghar ke bahar raat bhar ...
saree raat
saree raat bhigte rahe
puchte ho kyu ?
kya yaad nahi ?
mujhse ikraar ki ummid mein
tum bhigte rahe
bimaar bhi ho gaye
par nahi gaye wahaa se
aur main ........
main haar gayi
tumhare zid ke aage
bade bhulakkad ho
khair .... aree
kyu sochti hun tumko
barish aayi aur chli bhi gayi baras kar
par ab tak nahi gayi..........
nahi gayi tum.........
aur tumhari yaaden
jo aksar chli aati hain
apne yaadon ki arthi ko lekar
mere zehan mein
aur mujhe bechain kar chli jaati hain
baras kar
un bechain baadlon ke sath
phir se wapas aakar barsane ke liye
jo aksar mere pas aayaa karti hain
tanhaayiyon mein ...........
----------------------kamla singh zeenat
No comments:
Post a Comment